jindagi ki kahani Me do kadam chalta aur ek pal ko ruk jata is ek pal me jindagi mujhse 4 kadam aage chali jati me fir do kadam chalta aur ek pal ko rukta magar jindagi mujhse fir 4 kadam aage chali jati Jindagi ko jeet`ta dekh me muskurata aur jindagi meri muskuraht pe hairan hoti ye silsila yun hi chalta raha fir ek din mujhko hasta dekh ek sitare ne pucha toom haar kar bhi muskura rahe ho kya tumhe dukh nahi hota apni haar ka tab mene kaha mujhe pata ha ek esi sarhad aayegi jahan se jindagi 4 to kya 1 kadam bhi nahi chal payegi aur tab jindagi mera intajar karegi aur me tab bi apni raftar se rukta chalta vahan pahunchunga ek pal ruk kar jindagi ki taraf dekhkar muskuraunga apne bite safar ko ek najar dekh ke apne kadam badhaunga thik usi pal jindagi se jeet jaunga aur me apni haar par bhi muskuraya aur apni jeet par bhi muskuraunga aur jindagi apni jeet par bhi na muskura paai aur haar par bhi nahi muskuraygi tab me jindagi ko jina sikhaunga